Khud par yakeen ka naya safar shuru toh kar,
Hujum khud-ba-khud umad aayega.
Naacheez samajhkar…
Jinhone chhoda tha saath tumhara,
Yakeen unhein bhi aa jayega.
Khud par yakeen ka naya safar shuru toh kar,
Hujum khud-ba-khud umad aayega.
Maana ki dhoop kadhi hai aur tapan bhi,
Par manzil se pehle chhaav kahan mil paayegi?
Kismat ki duhaai mili hogi kai baar,
Par bina karm ke kismat kahan badal paayegi?
Haathon ki lakeerein dekh kar na ghabra,
Mizaaj jab jeevat ho,
Toh in lakeeron ko bhi tu badal paayega.
Kaanch ke aaine se liya hoga raay kai baar,
Par bina antarman mein jhaanke,
Khud ko sampoorn kahan pehchaan paayega?
Khud par yakeen…
Kaagaz par likhi aur mitaayi hogi kai baar,
Aagaaz jab tak na ho,
Karm se tu kahan ban paayega?
Khud par yakeen…
Hujum khud-ba-khud umad aayega.