Kya pyaar ko shabdon mein bayaan kiya ja sakta hai? Kya pyaar aur attraction mein koi antar hai? Aaiye, ise samajhne ki koshish karte hain.
Kya pyaar attraction se paida hota hai? Aaj ka yuva aksar attraction ko hi pyaar ka naam de deta hai. Lekin asal mein pyaar kya hai? Kya pyaar attraction ke saath hi janm leta hai? Yeh samajhna zaroori hai.
Asal mein, pyaar ek aisa ehsaas hai jise poori tarah shabdon mein baandhna mushkil hai. Pyaar bhaavnaaon ki ek swatantra anubhuti hai, jo bina kisi shart ke apno ke gun aur doshon ko sweekar karne ki kshamata deti hai.
Yeh kehna galat nahi hoga ki attraction pyaar ka ek roop ho sakta hai, lekin attraction aksar baahari cheezon se prabhavit hota hai. Jab tak woh cheezein humein pasand aati hain, tab tak attraction bana rehta hai. Jaise hi woh badalne lagti hain, attraction bhi kam ho sakta hai.
Attraction chumbak ki tarah hota hai—woh humein kisi vyakti ki taraf kheenchta hai. Aksar hum kisi ki baahari personality, looks ya qualities se attract hokar use pyaar ka naam de dete hain.
Lekin pyaar kisi vyakti ki andarooni khoobsurti aur uske sampoorn vyaktitva ko sweekar karne ka ehsaas hai. Kisi vyakti ki internal qualities samay ke saath badalti nahi hain, jabki external factors badal sakte hain.
Pyaar kabhi kam nahi hota aur na hi apna swaroop baar-baar badalta hai. Pyaar nirmal jal ki tarah bahta rehta hai.
Pyaar mein koi shart ya expectation nahi hoti. Jo bina shart ke ho, wahi sachcha pyaar hai.
Agar kisi ke achha karne par pyaar badh jaaye aur kuch bura hone par kam ho jaaye, toh shayad woh pyaar nahi, balki attraction ya expectation ho sakta hai.
Kabhi-kabhi hum sirf attraction ke kaaran kisi ke pyaar mein pad jaate hain. Lekin humein yeh samajhna zaroori hai ki agar hum sirf kisi ki baahari khoobsurti dekhkar usse pyaar kar baithe hain, toh ho sakta hai woh pyaar se zyada attraction ho.
Ek sachcha pyaar aapse kuch maangta nahi. Sachcha pyaar samay ke saath kam nahi hota, balki aur gehra hota jaata hai.
Jab aap kisi ke saath emotionally connected mehsoos karne lagen, toh samajhiye ki aapka rishta sirf attraction tak seemit nahi hai. Pyaar do logon ko emotions ke saath jodta hai.
Pyaar mein hum apne saathi aur relationship ke growth ke baare mein sochte hain. Hum unki tarkshakti ko samajhte hain, unka saath dete hain aur unhe encourage karte hain—yeh sachche pyaar ki nishani hai.
Pyaar mein rishta patang ki us dor ki tarah hona chahiye jo use azaadi se udne deti hai, lekin jab woh galat disha mein jaane lage, toh dor use kheenchkar sahi disha bhi de sake.
Jo har mod par haath thaam kar saath khada rahe—woh pyaar, woh vishwas hai.
Jo tumhari kamiyon ke saath tumhe apnaye—woh pyaar, woh ehsaas hai.
Jo tumhari galtiyon mein tumhara saath chhodne ke bajay, tumhe sudharne mein apna haath de—woh pyaar, woh khoobsurat saath hai.
Pyaar samarpan hai, pyaar parityag hai.
Pyaar nirmal jal hai, toh pyaar saat pheron ki pavitra agni bhi hai.
Pyaar protsahan hai, toh pyaar prayas bhi hai.
Pyaar jeevan hai, toh pyaar saubhagya bhi hai.